How to comment in comment section of blogger with hyperlinked words
Bahut se blog writer blogger ke comment section me hyperlinked words ke sath comment karna chahte hai lekin wo nahi kar pate hai. Kyoki wo direct comment section me jate hai aur apna blog ka link paste kar ke comment kar dete hai. Lekin sahi process ye nahi hai. Isi samasya ka hal is blog me ham janenge to chaliye shuru karte hai.
Why bloggers comment hyperlink words in the comment box
Agar aapne hyperlinked words comment kiya hai to agar koi user apke hyperlinked word par click karta hai to wah direct apke article par redirect kar diya jata hai. Ise apke website ke liye backlink kaha jayega. Bahut se log apni website ko promote karne ke liye hyperlinked words/phrases me comment karte hai isse unke webpage ko google search results me rank karne me madad milti hai.
Html Code for Hyperlink word/phrase in comment section
Niche ap logo ko hyperlink word or phrase banane ke liye ek html code diya gaya hai. Is HTML code ko edit karke ap hyperlinked word create kar sakte hai.
HTML Code: Your Starting Words <a href="Your Blog Post Link"> Your Ending Words.</a>
How to edit this HTML Code
Chaliye ab aap logo ko bata dete hai ki is HTML Code ko edit kaise karna hai.
Pahle apko ko is code ko copy karke notepad ya kisi bhi writing application me paste kar dena hai.
Jis tarah is image me bataya gaya hai usi tarah edit kare-
Preview : Comment in blogger with hyperlink words/phrases
Edit karne ke bad apka comment kuchh is tarah dikhayi dega
Main asha karta hoon ki yah blog ap logo ko pasand aya hoga aur ap logo ke liye labhdayak hoga.
Thanks!
No comments:
Post a Comment