Best Free and Easy Platform for creating your website
Blogging ka matlab hota hai ki online medium se apane vicharo ko likhkar doosaro tak pahuchana. Blogging karne se blogger ki knowledge bhi improve hoti hai aur doosaro ko bhi apni samasya ko hal karne me madad milti hai.
Kuchh log chahte hai ki vo apni jankari ya vicharo ko online medium se door door tak pahuchaaye lekin wo nahi jante ki wo yah kaise kare.
Easy Platform for creating your website
Online medium se apne vicharo ko pahuchane ke liye kai platforms hain jinme se ek hai - by creating website. Ab problem ye aati hai ki website kis platform se banaye.
Website banane ke liye do major platforms hai - Wordpress aur Blogger.
Wordpress fully paid hai kyoki yaha par apko domain aur hosting dono purchase karna padta hai but blogger me aisa nahi hai yaha par apko free domain aur free hosting provide ki jati hai. Aaiye aur jante hai blogger ke bare me.
Blogger : Free and Best Platform for blogging
Blogger ek free of cost website creating platform hai yaha par apko free domain aur free hosting milti hai. Yahan par aap free me apne article likhkar publish kar sakte ho aur yaha par apko koi bhi hosting charge nahi padta hai.
How to create your blog or website on blogger
Aap apna blog or website blogger.com par create kar sakte hai.
Blogger apko free me domain provide karta hai jo blogspot.com ke sath khatam hota hai jaise https://technogtb.blogspot.com . Yaha par aap ek unique aur beautiful blog create karke apne passion ko apne way me publish kar sakte hai.
Custom theme and colour of your website
Aap colour aur theme change karke ise apne according design kar sakte hai. Yaha par apko free ke themes provide kiye gaye hai but apka man ho to aap koi aur theme kisi theme designer se purchase karke use kar sakte hai koi issue wali bat nahi hai.
Bahut se theme designer free me bhi best and responsive templates or themes provide karte hai jaise -
1. Gooyabi Templates
2. Templateyard
3. BTemplates
4. Sora Templates
5. Template Toaster
Upar diye gaye websites apko free blogger templates provide karti hai. Jise aap apne blogger website me free me use kar sakte hai. In Template provider ke dwara provide kiye gaye templates responsive hote hai seo friendly hote hai.
Change layout of blogger website
Apke Blogger dashboard me left side me ek layout ka section hoga uspar click karke aap apne theme ya template ko customize kar sakte hai jaisa ki is image me bataya gaya hai.
How to add menu and sub menu on your blog or website
Yaha par aap bahut hi saralta se Configure link list ka use karke Menu and Sub-menu add kar sakte hai. Image is given below:-
Is tarah aap log ek blogger.com se ek beautiful blog create karke apne views ko dosaro tak pahuncha sakte hai. aur worldwide popularity gain kar sakte hai.
thanks!
No comments:
Post a Comment