What is Backlinks ?
Website create karne ke bad aap post likhte hai uska SEO karte hai usi SEO ka ek part hota hai Backlink. Agar ham saral bhasa me kahe to backlink ek aisa link hota hai jisse ham kisi website se kisi doosare website par jate hai use hi ham backlink kahte hai. Backlinks banane se Google ka trust apki website par badh jata hai aur apki search ranking ko Google improve karta hai.
What is the work of backlinks?
Types of backlinks?
Mainly backlinks do types ke hote hai. Do-follow links No-follow backlinks se jyada helpful hoti hai.
I. Do-follow Backlinks
II. No-follow Backlinks
I. Do-follow Backlinks
Do-follow backlink Rel='Dofollow' Tag wali links hoti hai. aisi type of backlinks hoti hai jo har koi apni website ke liye banana chahta hai. Do-follow backlinks apke website ke search engine ranking ko bhi improve karte hai. Agar aap Do-follow backlinks banate hai to aap jis high quality website se backlink banate hai vo hamari website ko 'Link Juice' pass karti hai. jisse hamare Keyword Ranking me growth hoti hai.
II. No-follow Backlinks
No-follow backlinks Rel='Nofollow' Tag wali backlinks hoti hai. In links ko Search Engine jyada value nahi deta hai kyoki is tag wale link ka matlab jota hai ki yah website is website se koi sambandh nahi rakhti hai.
How to make quality backlink for your website
- Agar apki koi post google search me pahle se hi rank kar rahi hai to uske bare me google me search karke post me aur sudhar kare.
- Alag Alag social media paltforms par apni post ka link share kare.
- Dosare websites par Guest post likhe aur dusaro ko apne website par Guest post likhne ke liye invite kare.
- Apane article se related articles ko google par search kare aur unme hyperlink words comment kare.
Also Read :- How to comment Hyperlink words
Also Read:- Free and easy platform for creating your website
No comments:
Post a Comment