What is Google assistant | Google assistant kya hai | Benefits of Google assistant - Technotips

Breaking

BANNER 728X90

Thursday, 29 July 2021

What is Google assistant | Google assistant kya hai | Benefits of Google assistant

What is Google assistant ?

Google Assistant Google ke dwara banaya gaya ek voice assistant hai. Google assistant Google now se viksit hua hai. Yah abhi ke sabhi android and iphones me available hai. Google assistant ko aap voice ya text command de sakte hai jaise - Aaj ka temperature kya hai , 9998-XXX-XXX par Call karo, Open Youtube , Open Google etc.

what is google Assistant

What do I need to do to talk with Google Assistant?

Aap do tarah se google assistant se baat kar sakte hai. Pahla apne device ke home button ko dabakar rakhe aur dusara 'Ok Google' kahe. Phir apna question or doubt puche. Google assistant apko text aur voice done roop me javab dega. 

Benefits of Google assistant?

Pahle hame kuchh bhi dekhna ho to ham google application me jate the aur phir search karte the. lekin Google assistant ke aane ke bad se ham Quick search kar sakte hai. Hame kisi ke paas call karna hoto hame dialpad se dial karna padta tha lekin ab ham kisi ka number bolkar uske paas call kar sakte hai. 

Google assistant se jo blind persons hai unhe bhi bhaut benefit hua hai. Jo dekh nahi sakte vo kisi app ko open kaise karenge but google assistant se bolkar wo apne sabhi kam kara sakte hai. 

Guide to open Google assistant

Sabse pahle apne mobile device ke home button ko long press kare. jaisa is image me bataya gaya hai. 

open assistant


Uske bad kuchh aisa interface milega. Is page me kuchh question google apko recommend karega ki aap ye question poochh sakte hai jaise - alarm lagao , mere rojana ke kam kaj kya hai, aas pas kaha restaurant maujood hai, mujhe nirdesh do, koi game khelo etc. (In image below)

assistant

Phir bottom me ek mic ka option diya hoga uspar click karke apna question pooch sakte hai jaise maine poocha - aaj ka tapman kya hai to google assistant ne jawab diya. 

google assistant
Img. source :- Pixabay

To asha hai ki aap is article What is Google assistant | Google assistant kya hai | Benefits of Google assistant ko samajh gaye honge.

Thanks!

Also Read :- How to Open Whatsapp on your PC/Computer

No comments:

Post a Comment