Best Youtube video editing apps in 2021 || Youtube video editing apps || Video Editing - Technotips

Breaking

BANNER 728X90

Saturday, 21 August 2021

Best Youtube video editing apps in 2021 || Youtube video editing apps || Video Editing

Best Youtube Video editing apps in 2021 

Hello friends agar aap best video editing apps khoj rahe hai to aaj ham apko 3 aise best youtube video editing apps ke baare me batayenge jnse aap apni youtube video ko bahut hi behtareen tareeke se edit kar sakte hai. 

Darasal aaj ke samay me adhiktam log youtube par aa rahe hai. Aise me unhe achche youtube video editing apps ki jarrorat hogi. Isiliye ham aaj aap logo ke liye lekar aaye hai. Jo free bhi hai premium bhi hai to chaliye shuru karte hai.


Best YouTube Video Editing Apps


Name of 3 Best Youtube video editing apps 

1. VITA - Video editor

2. Kinemaster - Video editor

3. PowerDirector - Video editor


#1. VITA

VITA ek bahut hi achcha video editing app hai jisme aap apni youtube video ki clips ko bahut hi aasani se edit kae sakte hai. VITA video ek bahut hi simple aur easy editing app hai. Apko jitne features chahiye videography ke liye wo sab apko isme milte hai. jaise isme aap video edit karne ke bad full HD quality me video ko export kar sakte ho. Apni video ko slow aur fast motion me kar sakte hai. aap apni video me bahut achche achche filters laga sakte ho. isme aapko kuchh cheeje free me mil jayengi aur kuchh cheejo use karne ke liye apko is app ka premium version lena padega. Play store par is app ki size 93 MB hai.


#2. Kinemaster - video editor 

Kinemaster bahut hi easy full featured video editing app hai. Aap isme bhi bahut hi aasani se apni videos ko edit kar sakte ho. Isme bhi import karke video ko timeline ke sath edit kar sakte ho. aur edit karne ke bad apni edited video ko bahut hi aasan tareeke se export bhi kar sakte ho kisi bhi platform par share bhi kar sakte ho. Isme apko 2500 se bhi jyada tranditions bhi bilkul free me mil jaayenge. Amazing visual effects ke sath aap apne video ko edit kar sakte ho. Is app me bhi apko kuchh cheeje free of cost mil jayengi lekin kuchh cheejo ke apko is app ka premium version lena padega. Size of this app on playstore is 65MB.


#3. PowerDirector - Video Editor

PowerDirector one of best movie maker and video edinting app hai. Isme aap green screen effects ke sath apni videos ko edit kar sakte ho. Isme aap apni videos ko bahut hi aasani ke sath higjh quality, professionals ki tarah edit kar sakte ho. Isme aap apni edited videos ko 4K resolution tak export kar sakte ho. aur aap apni video ka speed adjustment bhi kar sakte ho jaise slow mortion and fast motion. Isme apko chroma key bhi mil jata hai. Isme aap apni videos ke animated text bhi bana sakte ho. Is app me bhi apko kuchh cheeje free me milegi aur kuchh premium. Is app ka size play store par 86 MB hai. 


Upar diye gaye apps ka use karke aap apni video  ko bahut hio aasani se edit kar sakte ho. I hope aap logo ye Best Youtube video editing apps in 2021 || Youtube video editing apps || Video Editing apps pasand aaye honge aur aap logo ke liye laabhdayak honge. 

Thanks!


Also Read : 5 best short video apps like Tiktok

No comments:

Post a Comment