2-step Verification Kya Hota Hai?
2-step Verification Enable Kaise Kare? - 2-step Verification Google ka ek high security system hota hai. Jisse ham apne Google account ko jyada secure kar sakte hai. Agar aap apne account me 2-step verification enable kiye honge. To agar koi apka email aur password jan jata hai. aur jab apka account login karega to apke mobile ek message aa jayega jisme apko do option diye jayenge Yes or No. Jab aap Yes par click karenge tabhi apka account login hoga.
2-step Verification Ka Use Kyon Karna Chahiye?
Aaj ke samay me online cheeje bahut jyada secure nahi hai. Accounts par aksar cyber attacks hote rahte hai jisse wo apke account ko hack karke uska galat use karte hai. Google ki taraf se hame 2-step Verification ka feature diya gaya hai. lekin bahut se log iske bare me jante hi nahi hai. Isiliye aaj ham aap logo ko batayenge ki 2-step Verification Enable Kaise Kare?
Ab to aap samajh gaye honge ki hame 2-step Verification Ka Use Kyon Karna Chahiye. to chaliye ab apko ham batate hain ki Google Gmail Account Me 2-step Verification Enable Kaise Kare wo bhi step-by-step. Agar aap in steps ko follow karte hai to aap easily two step verification enable kar lenge.
2-step Verification Enable Kaise Kare? Step-by-Step
- Sabse pahle apne gmail ko login karke usme 'My Account' open kar le uske bad apke browser ek naya page open hoga.
- Uske bad apko left side menu me 'Security' ka option milega. uspar click kijiye.
- Uske bad apko 'Signing in to Google' ka section milega.
- 'Signing in to Google' ke section me '2-step verification' ka option milega uspar click kijiye.
- Then aap 'Get Started' par click kijiye.
- Then new tab khulega uske bad apko apne email ka password fill karna hai aur Next par click karna hai.
- Uske bad new page open hoga usme apko 'Continue' par click karna hai.
- Then apko apna mobile number fill karna hai aur 'Send' par click karna hai.
- Uske bad apke mobile phone par ek code aayega use fill karke 'Next' par click karna hai.
- Uske bad apko 'Turn On' ka option milega apko uspar click karna hai.
Turn on par click karne ke bad apka two step verification enable ho jayega. Aur ab agar koi apka email apne device me login karega to Google apke paas ek notification send kar dega. Jisme apko do option mil jayenge Yes or No. Agar aap yes par click karenge to gmail login ho jayega. aur agar aap no par click karenge to gmail login nahi hoga.
I hope apko ye post Google Gmail Account Me 2-step Verification Enable Kaise Kare? pasand aaya hoga aur aap logo ke liye helpful hoga.
Thanks!
Read Also:- IFSC Code Kya Hota Hai?
No comments:
Post a Comment