Hello Friends aaj ham baat karenge ki IFSC Code kya hota & kisi bhi bank ka IFSC Code kaise pata kare? Shayad aapne bhi dekha hoga ki jab kisi ke pas apne bank account uske bank account me money transfer karte hain to aap dekhte hai ki usme apko Bank ka IFSC Code fill karne ko kahta hai.
Agar aap jaante hai to aap fill kar lenge lekin agar aapko nahi pata hai ki bank ka IFSC Code kya hai aur aap money transfer nahi kar paayenge to aap sochte honge IFSC Code kaise pata kare. To chaliye aaj ham aapko batate hai ki aap Bank Ka IFSC Code Kaise Pata Kare.
IFSC Code Kaise Pata Kare?
Is article ko padhne ke bad aap kahi bhi kabhi bhi apne bank ka ifsc jan sakte hai apne mobile se bina yaad rakhe bina kahi par bhi likhe huye. Aapko is article me yahi step batayenge. Is post ko ko padhne ke bad aap bahut sara time bhi bach jayega.
Har ek bank ke bahut sare branch hote hai aur sabhi branch ka ek Unique IFSC Code hota hai. Chahe wo kaun sa bhi bank branch ho sabka ek alag Unique Code hota hai. Jab aap apne branch ka code kahi par bhi fill karte hai to usi apke bank ke branch ke bare me jankari milti hai ki ye branch kis jagah hai.
IFSC Code Kya Hota Hai?
Iska full form "Indian Financial System Code" hota hai. Har ek bank ke bahut sare branch hote hai aur sabhi branch ka ek Unique IFSC Code hota hai. Chahe wo kaun sa bhi bank branch ho sabka ek alag Unique Code hota hai. Jab aap apne branch ka code kahi par bhi fill karte hai to usi apke bank ke branch ke bare me jankari milti hai ki ye branch kis jagah hai.
Waise to aapke bank ke dwara jo passbook apko diya jata hai usme pahle se hi apka ye code mention hota hai. Lekin agar apke paas passbook nahi hai to aap ifsc code kaise pata kare. To chaliye apko step by step batate hai.
Bank Ka IFSC Code Kaise Pata Kare? Step-by-Step
Agar apko bank branch ka IFSC Code pata karna hai to apko pata hona chahiye ki apke {bank ka name kya hai, bank branch name, bank ka address kya hai} Tabhi aap aasani se apnee branch code prapt kar sakte hai.
* Sabse pahle is link par Click Kariye aur aap ek naye page par pahunch jayenge.
* Fir aapko apne first option me apna 'Bank Name' select karna hai.
* Second option me apko apna 'State' select karna hai ki aapka bank branch kis rajya me hai.
* Third option me apko apna 'District' select karna hai.
* Fourth option me aap apna 'Branch Name' select kijiye.
* Branch name select karne ke bad apko apke bank branch ka IFSC Code niche likha hua mil jayega.
Asha hai aap logo ye article IFSC Code Kya Hota Hai & Bank Ka IFSC Code Kaise Pata Kare pasand aaya hoga. Aur aap logo ke liye helpful hoga.
Thanks!
Read Also:-
Best Youtube Video Editing Apps in 2021
No comments:
Post a Comment